jaur-e-zamin na tha sitam-e-asman na tha wo bhi tha waqt jab ki gham-e-do-jahan na tha koi bhi lutf-e-zist tah-e-asman na tha duniya meri kharab thi tu mehrban na tha sunta ye kaun zabt pe qabu nahin hai ab achchha hua jo koi mera raaz-dan na tha diwangi ne baat bana di ki us se main zid kar raha hun ab ki ye mera bayan na tha badnam khud hue ho zaban se nikal kar mera siwa tumhaare koi raaz-dan na tha sajdon ki dad mil gai bab-e-qubul se mana nazar ke samne wo aastan na tha mayusi-e-nazar ke manazir hain khaufnak phir aap hi kahenge mujhe ye guman na tha wo mere samne the main tha un ke samne jab tak ki mera raaz kisi par ayan na tha lillah hum se qissa-e-'alim' na puchhiye sunte hain lash par koi bhi nauha-khwan na tha