in talkh aansuon ko na yun munh bana ke pi ye mai hai khud-kashid ise muskura ke pi utrenge kis ke halq se ye dil-kharash ghunt kis ko payam dun ki mere sath aa ke pi mashrub-e-jam hi talkhi-e-gham ka ilaj hai shirini-e-kalam zara si mila ke pi waiz ki ab na man agar jaan hai aziz is daur mein ye chiz ba-taur ek dawa ke pi bhar le piyala khum-kada-e-zist se 'hafiz' khun-e-jigar hai samne chal kar khuda ke pi