in gesuon mein shana-e-arman na kijiye khun-e-jigar se dawat-e-mizhgan na kijiye mar jaiye na kijiye zikr-e-bahisht-o-hur ab khwab ko bhi khwab-e-pareshan na kijiye baqi ho jo bhi hashr yahin par uthaiye marne ke baad zist ka saman na kijiye dozakh ko dijiye na paragandagi meri shiraaza-e-bahisht pareshan na kijiye shayad yahi jahan kisi majnun ka ghar bane virana bhi agar hai to viran na kijiye kya nakhuda baghair koi dubta nahin mujh ko mere khuda se pasheman na kijiye hai but-kade mein bhi use iman ka khayal kyun e'tibar-e-mard-e-musalman na kijiye hum se ye bar-e-lutf uthaya na jaega ehsan ye kijiye ki ye ehsan na kijiye aaina dekhiye meri surat na dekhiye main aaina nahin mujhe hairan na kijiye tu hi aziz-e-khatir-e-ahbab hai 'hafiz' kya kijiye agar tujhe qurban na kijiye