in ujdi bastiyon ka koi to nishan rahe chulhe jalen ki ghar hi jalen par dhuan rahe nero ne bansri ki nai tan chhed di ab rome ka nasib faqat dastan rahe pani samundaron ka na chhalni se mapiye aisa na ho ki sara kiya raegan rahe mujh ko supurd-e-khak karo is dua ke sath aangan mein phul khilte rahen aur makan rahe kati hai umr raat ki pahnaiyon ke sath hum shahr-e-be-charagh mein ai be-kasan rahe 'azar' har ek gam pe kata hai sang-e-jabr hathon mein tesha samne koh-e-giran rahe