aise khulte hain falak par ye sitare shab ke jis tarah phul hon sare ye bahaar-e-shab ke teri taswir bana kar teri zulfon ke liye hum ne kaghaz pe kai rang utare shab ke wo musawwir jo banata hai sahar ka chehra us se kahna ki abhi dard ubhaare shab ke kya kisi shakhs ki hijrat mein jali hain raaten kyun shararon se chamakte hain sitare shab ke ye tere hijr ne tohfe mein diye hain hum ko ye jo masum se rishte hain hamare shab ke ek muddat se hamein nind na aai 'ashu' umr ek kat di hum ne bhi sahaare shab ke