inayat ki sitamgar ne to ki mujh par jafa ke baad khabar zalim ne meri li to li wo bhi qaza ke baad pasheman tum nahin hote meri hasti mita kar bhi karoge yaad mujh ko tum bahut din tak fana ke baad payam-e-wasl le kar ja raha hai nama-bar mera asar ho jae shayad kuchh udhar meri dua ke baad khafa ho kar wo khud bhi mujh se ai 'basir' pareshan hai kabhi jo hosh bhi aaya to aaya hai khata ke baad