inhen mat chhediye in ko to khwahish hai singhasan ki faqat ye jaan lije ye hai aadat mulk-dushman ki ise tanhai mein jab yaad aai apne sajan ki ghamon ke sae mein guzri thi kal ki raat birhan ki bataun kya tumhein sarkash hawa ki dastan yaron ki shakhen sukhti hi ja rahi hai mere gulshan ki khudaya ye hamari qaum mein tafriq hai kaisi sabhi ko ek kar de ye dua hai mere tan-man ki ki badhta ja raha hai zafrani rang har shai par nazar aati nahin hai khair ab apne nasheman ki mujhe phansi pe latka do magar sach baat bolunga chita har gam par jalti hai yaro aaj dulhan ki ye kaisa daur aaya hai ye kaise log hain 'sajid' madad koi nahin karta yahan dil se abhagan ki