nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale tumhein kab dekhte hain kufr-o-iman dekhne wale khuda rakkhe tere gham ka bahut nazuk zamana hai sahar dekhen na dekhen sham-e-hijran dekhne wale ye kis ne la ke rakh di samne taswir mahshar ki abhi chaunke hi the khwab-e-pareshan dekhne wale kahan tak aaina-dar-e-tajalliyat-e-khud-bini ye parda bhi ulat de o dil-o-jaan dekhne wale ye diwane sujud-e-shauq ki azmat ko kya jaanen mujhe kya paen farq-e-kufr-o-iman dekhne wale kabhi girdab se bhi khel maujon se bhi takra ja are sahil pe rah kar josh-e-tufan dekhne wale tere qurban 'basit' aur 'basit' ki har ek duniya bahaar-e-wahshat-e-ashufta-haalan dekhne wale