inhi galiyon mein ek aisi gali hai jo mere nam se tanha rahi hai ab is se aur bhi shamen jala lo sawad-e-jaan mein ek mashal jali hai hamare sar gae sang-e-harifan mai-o-mina se aafat tal gai hai main bahr-e-azmaish bhi jala hun ki dekhun mujh mein kitni raushni hai ilahi khair ho in bastiyon ki pas-e-diwar ek parchhain si hai sawad-e-shahr mein koi bala hai jo wahshat bin ke pichha kar rahi hai hui phir sham phir din bhar ki shorish gali-kuchon mein chhap kar so gai hai kuchh aise so rahe hain shahr wale ki ek muddat mein nind un ko mili hai ye ghar sote ke sote hi na rah jaen hawa-e-hashr-saman chal rahi hai hui phir subh zakhmon ke ufuq se faza phir taza dam ho kar uthi hai kisi qaidi ko phir khwabon se uth kar kisi zanjir ne aawaz di hai gharon se chand lamhon ki rifaqat bichhad kar shahar ki jaanib chali hai lahu rista hai dast-e-shisha-gar se faza aaina-khana ban gai hai phir apne daere qausen banae wahi mitti wahi kuza-gari hai tum is se kya bachoge 'shauq'-sahab ki qismat mein yahi gardish likhi hai