hata do chehre se gar dupatta tum apne ai lala-fam aadha to ho ye sabit ki nikla abr-e-siyah se mah-e-tamam aadha hua to hai tere hijr mein dil hamara jal kar kabab saqi kasar agar hai to itni hi hai ki pukhta aadha hai kham aadha yahan to dil ko mere jalaya wahan jalaenge jism mera ye hashr par kyun utha rakha hai huzur ne intiqam aadha hamari ulfat ka zikr sun kar adu nikale bhi shiq to kyun-kar ki lafz-e-shiq mein bhi to ye shiq hai ki hai ye aashiq ka nam aadha ye charke de de ke tu ne mujh ko jo nim-jaan kar rakha hai nahaq halal kar dal ab to zalim hua hai jina haram aadha ye kaisi dariya-dili hai saqi hawas bhi dil ki hui na puri jo ki inayat bhi to adhuri agar diya bhi to jam aadha nazar jo pad jae us ke qamat pe bas qayamat hi aae 'anjum' zamin mein gad jae sarw khajlat se us ki waqt-e-khiram aadha