inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai tar-ba-tar ye raushni sahra bhi hai dariya bhi hai aag par mera tasarruf aab par meri giraft meri mutthi mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai jhil mein thahra hua hai us ka aks-e-atishin aaine mein is ghadi sahra bhi hai dariya bhi hai jal uthen yaadon ki qindilen sadaen dub jaen dar-haqiqat khamushi sahra bhi hai dariya bhi hai zinda laut aaya hun jangal se to kya ja-e-malal mere raste mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai koi kheme rakh kar de koi bazu chhin le ek si ghaarat-gari sahra bhi hai dariya bhi hai ret par rakhkhun tujhe ya bahte pani mein bahaun dekh ai tishna-labi sahra bhi hai dariya bhi hai tu bagula hai ki hai girdab ai raqs-e-dawam faisla kar le abhi sahra bhi hai dariya bhi hai dasht bhi us ki riwayat mein hai mauj-e-ab bhi meri aankhon ki nami sahra bhi hai dariya bhi hai tu sambhaalega bhala kaise ye sari saltanat 'shahryar'-shaeri sahra bhi hai dariya bhi hai