farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai kis ke liye ye haal hai us ka kaun aisa harjai hai kis ke liye phirta hai akela shahr ke hangamon se dur kaun hai jis ki khatir us ko tanhai ras aai hai kis ke lab o rukhsar ki baaten dhal jati hain ghazlon mein kis ke kham-e-kakul ki kahani wajh-e-sukhan-arai hai kaun hai jis ki mahrumi ke dagh hain us ke sine mein kaun hai jis ke khwabon ki ek duniya main ne sajai hai kyun us ki aashufta-sari ka charcha hai hum logon mein kyun itni pur-kaif-o-soz us ki shab-e-tanhai hai 'athar' aao hum bhi us ke dil ki baaten sun aaen kahte hain diwana hai wo wahshi hai saudai hai