injil-e-raftagan ki hadison ke sath hun isa-nafas hun aur salibon ke sath hun paband-e-rang-o-naqsh hun taswir ki tarah main be-hijab apne hijabon ke sath hun auraq-e-arzu pe ba-unwan-e-jaan-kani main be-nishan si chand lakiron ke sath hun shayad ye intizar ki lau faisla kare main apne sath hun ki darichon ke sath hun tu fath-mand mera tarasha hua sanam main but-tarash apni shikaston ke sath hun mauj-e-saba ki zad pe sar-e-rahguzar-e-shauq main bhi 'nasir' ghar ke charaghon ke sath hun