tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte mohabbat kar ke tauhin-e-mohabbat kar nahin sakte talluq khas hai dil ko khayal-e-ranj-o-rahat se kisi ko hum sharik-e-ranj-o-rahat kar nahin sakte jo shaida hain mohabbat ke jo diwane hain ulfat ke wo apne dushmanon se bhi adawat kar nahin sakte jawan hain jin ke pahlu mein khayal-e-pas khuddari zarurat mein bhi izhaar-e-zarurat kar nahin sakte kiya iman taza qamat-e-dildar ne aisa 'safir' ab hum bhi inkar-e-qayamat kar nahin sakte