inqalab aa gaya dekhiye

inqalab aa gaya dekhiye
ban gae but khuda dekhiye

gham ke maron se kya wasta
aap bas aaina dekhiye

main ne khae hamesha fareb
mera zauq-e-wafa dekhiye

aap ki laj rakkhe khuda
aap hain nakhuda dekhiye

hum se sab bad-zan-o-bad-guman
un ke sab ham-nawa dekhiye

dil to hazir hai lekin huzur
aap hain khud-numa dekhiye

shaikh ji hai ye shahr-e-butan
pahle aab-o-hawa dekhiye

un ki nazren hain badli huin
kya dikhae khuda dekhiye

zulm 'anjum' wo karte rahe
main bhi hansta raha dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close