junun jab muskuraata hai KHirad ki gul-fishani par

junun jab muskuraata hai khirad ki gul-fishani par
wo aalam ek qayamat hai iradon ki jawani par

hansi aati rahi phulon ko meri be-zabani par
raha maghmum main jitna maal-e-shadmani par

agar waiz tujhe apna taqaddus saunp sakta hai
main kar dun mai-kade qurban teri naujawani par

rida-e-kaif-o-masti odh len saqi ye maikhane
wo bikhra den jo zulfon ko sharab-e-arghawani par

hansi udti hai ghunchon ke bade dilkash tabassum ki
wahan tanqid ho jati hai kaliyon ki jawani par

ye kis ne ru-e-zeba se naqab ulta gulistan mein
bahaaron ki tabiat aa gai 'anjum' rawani par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close