insan isi tarah se hain sahib ajib hain itna na ghaur kijiye hum sab ajib hain uljha diya hai kaisa dil-o-be-dili ke bich ai rozgar-e-ishq ye kartab ajib hain main kaun hun tu kaun hai ye log kaun hain kis ne kiye ye darje murattab ajib hain kahta hai dil ki ek zara chum dekhiye dilkash to khair hote hain wo lab ajib hain hum se na satr-e-hast pe kuchh guftugu karo apni samajh mein aae jo matlab ajib hain sab thik the hamein hi shikayat abas rahi 'haidar' hum aise log khula ab ajib hain