naqa-e-waqt nikalti hi chali jati hai jism se khak phisalti hi chali jati hai zakhm sine mein chhupa rakh ki hawa hai aisi khak har phul pe malti hi chali jati hai hain sab aaine pareshan ki urus-e-fitrat rang har lahza badalti hi chali jati hai dil-shikan kitni hai is khak-e-rawan ki raftar pa shikaston ko kuchalti hi chali jati hai kis ki rah dekh rahi hai ki koi sham-e-wafa dil se kheme mein bhi jalti hi chali jati hai sar mein kya shoala-e-khud-sar hai ki niche har shai mom ki tarah pighalti hi chali jati hai hath panw to main marun hun pe wo chashm-e-fusun misl-e-gardab nigalti hi chali jati hai phul phenke hain kisi yaad ne kya kya 'haidar' dil mein jo rakh thi jalti hi chali jati hai