insan ko apni zat ka idrak hi nahin ab koi wardat alamnak hi nahin mazlum ke lahu ka na ho jis pe koi dagh aisi sipah-e-waqt ki poshak hi nahin is daur mein hifazat-e-iman ke waste haidar ki misl tegh-e-ghazabnak hi nahin aamal hain siyah hamare magar hamein shikwa hai meharbani-e-aflak hi nahin rahmat khuda ki josh mein aae to kaise aae sailab-e-ashk-dida-e-nam-nak hi nahin pahle buland karta tha 'anwar' sada-e-haq lekin ab is mein jurat-e-be-bak hi nahin