insan ko insan se kuchh kaam nahin hota

insan ko insan se kuchh kaam nahin hota
duniya mein mohabbat ka jab nam nahin hota

ye kaisi haqiqat hai ai dost mohabbat mein
aaghaz to hota hai anjam nahin hota

tum se to na kuchh hoga ai chaaragaro jao
bimar-e-mohabbat ko aaram nahin hota

ye manzil-e-akhir hai aa jao ayaadat ko
aa jaane se aise mein ilzam nahin hota

lazim hai samajh lena nazron ki zaban sahib
lafzon se mohabbat mein kuchh kaam nahin hota

badhte hue dhaare hon barpa ho 'qamar' tufan
himmat se jo badh jae nakaam nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close