insaniyat ke zoam ne barbaad kar diya pinjre mein aa ke sher ko aazad kar diya apne hi sune-pan ka mudawa na kar sake kahne ko hum ne shahr ko aabaad kar diya ji bhar ke qatl-e-am kiya pahle har taraf phir us ne mamlikat ko khuda-dad kar diya dil se koi ilaqa na tha dur dur tak tesha thama ke hath mein farhad kar diya har muttaqi ko is se sabaq lena chahiye jannat ki chah ne jise shaddad kar diya hathon mein us ka hath liye sochte rahe tha kaun jis ne ishq mein barbaad kar diya