kanch ke pichhe chand bhi tha aur kanch ke upar kai bhi tinon the hum wo bhi the aur main bhi tha tanhai bhi yaadon ki bauchhaaron se jab palken bhigne lagti hain sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswai bhi do do shaklen dikhti hain is bahke se aaine mein mere sath chala aaya hai aap ka ek saudai bhi kitni jaldi maili karta hai poshaken roz falak subh hi raat utari thi aur sham ko shab pahnai bhi khamoshi ka hasil bhi ek lambi si khamoshi thi un ki baat suni bhi hum ne apni baat sunai bhi kal sahil par lete lete kitni sari baaten kin aap ka hunkara na aaya chand ne baat karai bhi