intiha-e-gham mein mujh ko muskurana aa gaya hae ifaqa-e-mohabbat ka bahana aa gaya is taraf ek aashiyane ki haqiqat khul gai us taraf ek shokh ko bijli girana aa gaya ro diye wo khud bhi mere girya-e-paiham pe aaj ab haqiqat mein mujhe aansu bahana aa gaya meri khak-e-dil bhi aakhir un ke kaam aa hi gai kuchh nahin to un ko daman hi bachana aa gaya wo kharash-e-dil jo ai jazba-e-jazbi meri hamraaz thi aaj use bhi zakhm ban kar muskurana aa gaya