sham rakhti hai bahut dard se betab mujhe le ke chhup ja kahin ai aarzu-e-khwab mujhe ab main ek mauj-e-shab-e-tar hun sahil sahil rah mein chhod gaya hai mera mahtab mujhe ab tak ek sham-e-siyah-posh hun sahra sahra tujh se chhut kar na mili rahguzar-e-khwab mujhe sahil-e-ab-o-sarab ek hai manzil manzil tishnagi karti hai sairab na gharqab mujhe main bhi sahra hun mujhe sang samajhne walo apni aawaz se karte chalo sairab mujhe main bhi dariya hun har ek samt rawan hun kab se mera sahil bhi nahin manzil-e-payab mujhe ab mujhe dhundh na aaghosh-e-gurezan har-su le udi khak baha le gaya sailab mujhe sham puchhe to na kahna ki main duniya mein nahin le ke phir aaega is ghar mein mera khwab mujhe