intiha sabr-azmai ki

intiha sabr-azmai ki
hai daraazi shab-e-judai ki

hai burai nasib ki ki mujhe
tum se ummid hai bhalai ki

naqsh hai sang-e-astan pe tere
dastan apni jubba-sai ki

tum se kuchh mil ke khush hua hun ki hun
dahr mein hasrat aashnai ki

hai fughan baad-e-imtihan-e-fughan
phir shikayat hai na-rasai ki

kya na karta visal-e-shadi-e-marg
tum ne kyun mujh se kaj-adai ki

raaz khulte gae mere sab par
jis qadar us ne khud-numai ki

kitne aajiz hain hum ki pate hain
bande bande mein lau khudai ki

rah gain dil mein hasraten 'salik'
aa gai umr parsai ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close