intishaar-o-khauf har ek sar mein hai aafiyat se kaun apne ghar mein hai zindagi par sab haqiqat khul chuki tu abhi tak khwab ke paikar mein hai mutmain insan kahin par bhi nahin ek si haalat zamane bhar mein hai raat ki chattan se subhen tarash khwab ki tabir isi patthar mein hai jhut ki ban aai hai chaaron taraf sach agar hai bhi to pas-manzar mein hai barf ehsasat ki pighla sake wo sharar mazi ki khakistar mein hai tut jaane tak udenge hum 'niyaz' hausla itna to baal-o-par mein hai