jhankar ka rishta to hai zanjir se sain kyon log pareshan hue tabir se sain kuchh log abhi shahr mein aise bhi hain khush-posh jo aag laga dete hain taqrir se sain haq bolne ka hausla ab hum mein nahin hai nisbat to nikalti rahi shabbir se sain tadbir pe mauquf hai duniya ki hukumat hum log ulajhte rahe taqdir se sain rahne do abhi aaina-khane mein koi aks kuchh dil to bahal jata hai taswir se sain pahle hi bahut der hui aane mein un ke ab jaan nikal jaegi takhir se sain tadbir kuchh aisi karo ulfat ke nigahban bichhde na koi ranjha kisi hir se sain