intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq aaj hi ho jae hona ho jo kal anjam-e-ishq ibtida mein dard-e-furqat maut hai anjam-e-ishq ahl-e-dil ko na-muwafiq hai hawa-e-baam-e-ishq be-khudi mein dabdaba aae hain aansu aankh mein al-madad ai zabt chhalka chahta hai jam-e-ishq us ki ulfat ne kiya ruswa-e-alam kis qadar ungliyan uthti hain jate hain jidhar badnam-e-ishq kyon nasihat mein teri naseh hain ye dil-soziyan kya tere dil par guzarte hain mere aalam-e-ishq chashm-e-giryan qalb-e-nalan ki shamatat qahr hai donon mil kar ek mujhi ko dete hain ilzam-e-ishq hasraten bhi aaj dil ke sath hi dam tod den aage pichhe sath walon ka na ho anjam-e-ishq baam par aa kar zara bikhraiye zulf-e-daraaz phail jae sare aalam mein sawad-e-sham-e-ishq aur kya eajaz hota husn-e-laila ke liye mar gaya majnun magar zinda hai ab tak nam-e-ishq chaar hi din mein 'nazar' tum is qadar ghabra gae aasman se koi puchhe gardish-e-ayyam-e-ishq