jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai khamushi bhi aap ki aaina-dar-e-naghma hai gosh ek muddat se mahrum-e-samaat hai magar dil ajab nadan hai ab tak e'tibar-e-naghma hai farq ye hai nutq ke sanche mein dhal sakta nahin warna jo aansu hai durr-e-shah-war-e-naghma hai munkir-e-saz-e-masarrat hun to kafir hun magar ham-nafas mizrab-e-gham par inhisar-e-naghma hai ai ki shikwa tha tujhe sangin-mizaji ka meri dekh is patthar mein bhi mauj-e-sharar-e-naghma hai