intizar ki had tak intizar karna tha eatibar ki had tak eatibar karna tha haal-e-dil to kahna tha mukhtasar magar qasid ikhtisar ki had tak ikhtisar karna tha khwab ho ki bedari-e-ah-o-nala-o-zari ikhtiyar ki had tak ikhtiyar karna tha us ne hasb-e-asaish ki adu ko fahmaish khaksar ki had tak khaksar karna tha nash bhi meri us ne qabr mein na rahne di be-dayar ki had tak be-dayar karna tha yas ho ki sarmasti chaak jama-e-hasti tar tar ki had tak tar tar karna tha ai 'tamiz' yaron par na-tawan sahaaron par inhisar ki had tak inhisar karna tha