zindan-e-roz-o-shab mein asir-e-hayat hun ek umr kat gai hai magar be-sabaat hun dekho to ek zarra hun is kaenat ka samjho to apni zat mein ek kaenat hun tu mawara-e-arsh-o-zamin-o-zaman hai main tere izn-e-kun se sar-e-shash-jihat hun hain kaba-e-darun mein butan-e-hawa-e-nafs har chand ki main munkir-e-lat-o-manat hun chalti hawa ke sath to abana-e-waqt hain main ahd-e-tirgi mein charaghon ke sath hun kyun teri zindagi se nikala gaya mujhe kya main tere nisab ki wajib zakat hun