intizar tha hum ko KHushnuma bahaaron ka

intizar tha hum ko khushnuma bahaaron ka
ye qusur kya kam hai hum qusur-waron ka

aaftab chehra tha jin sharab-khwaron ka
dagh dagh huliya hai un ka siyahkaron ka

sai-e-infiradi bhi naqsh chhod jati hai
bujh gaya hai manzil tak naqsh rahguzaron ka

ek roz kho dega etimad-e-zati bhi
aasra taka jis ne dusre sahaaron ka

jis mein shahd-lab hoga kal bada adab hoga
aaj na-munasib hai zikr mah-paron ka

rahnuma-e-rah-raw mein sham-e-bazm-e-ishrat ne
hasb-e-haal paya hai muddaa sitaron ka

aap hazrat-e-zahid us se kuchh nahin kahte
'shad' bhi to sathi hai hum gunahgaron ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close