jab tak hum hain mumkin hi nahin na-mahram mahram ho jaen aata hai unhen ghussa aae hote hain wo barham ho jaen duniya-e-masarrat ke lamhe ab is se kya kam ho jaen honton par hansi aane wali ho aankhen pur-nam ho jaen hum us ke aankh se ojhal hone ka matlab kya lete hain wo aankh se ojhal ho to nazare darham-barham ho jaen haalat ko har har mauqa par ek bhes badalna lazim hai kanton mein daman ban jaen phulon par shabnam ho jaen us kafir aisi mastana raftar kahan se laenge ashaar mujassam ho jaen afkar munazzam ho jaen un ki rahmat se dur nahin lekin is par majbur nahin ighmaz karen har laghzish par sajdon par barham ho jaen ahbab ko aise gulshan mein fitne baune se kya hasil jab do dil mohkam ho jaen jab wade paiham ho jaen us waqt bhi zohd-o-taqwa par qaem rah jaun tab kahna jis waqt mujhe mai-noshi ke asbab faraham ho jaen samjho ki jawani khwab mein hai rukh banhon ki mehrab mein hai jab tare dhime pad jaen jab shamen maddham ho jaen un khwab-aluda aankhon ki tarkib samajh mein aa jae ai 'shad' agar paimanon mein mai-khane mudgham ho jaen