iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta mera ism-e-mukabbir hi mujhe zinda nahin rakhta ab us ki hakimiyyat chand pahron tak simat aai wo aise haal mein bhi fikr-e-ainda nahin rakhta chala aata hun main ilzam se pahle katahre mein adalat mein ana ki khud ko sharminda nahin rakhta sabhi lahjon ne dars-e-afiyat to yaad rakkha hai musawi soch lekin koi bashinda nahin rakhta main aise sar-phire logon mein basta hun jahan 'akhtar' qabila khatm ho jae numainda nahin rakhta