be-hisi ki dhul mein behis aTe rah jaenge

be-hisi ki dhul mein behis ate rah jaenge
log apne apne firqon mein bate rah jaenge

dhanp legi jabr ki dharti parindon ke badan
aur baal-o-par fazaon mein kate rah jaenge

log utar aaenge ghurbat se mahaz-arai par
shahr mein har samt zalim marhate rah jaenge

jangalon ki samt bah jaega jismon ka hujum
shahr ki viraniyon mein sar kate rah jaenge

khwahishen ud jaengi taza hawa ke sath sath
bistaraon par silwaton ke jamghate rah jaenge

aandhiyan malba bana ke chhod jaengi unhen
hausle apne makanon ke date rah jaenge

guftugu zehnon mein kuchh tahlil si ho jaegi
khud-bakhud mafhum honton par rate rah jaenge

manzilen 'akhtar' palat kar dekhti rah jaengi
hum talab ki rah mein pichhe hate rah jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close