irtibaat-e-bahami shaikh-o-barahman mein nahin jo maza hai mil ke rahne mein wo an-ban mein nahin nala-sanji-e-anadil se ye chalta hai pata nam ko bu-e-wafa arbab-e-gulshan mein nahin dair-o-kaba ki parastish phir bhala kis kaam ki jab khulus-e-bandagi shaikh-o-barahman mein nahin phir khatakte hain nigah-e-baghban mein kis liye khair se ab chaar tinke bhi nasheman mein nahin umr bhar mujh ko jala ke sham-o-gul kyun lae ab dagh-e-dil ki raushni kya mere madfan mein nahin phir tadap kar bar bar aati hai bijli kis liye ek tinka bhi to ab mere nasheman mein nahin apne dil ki aap ne pahnaiyan dekhin kahan aisi wusat to qayamat ke bhi daman mein nahin hath sine par na rakkho ho chuka qissa tamam ab koi aawaz mere dil ki dhadkan mein nahin hain sabaq-amoz auraq-e-kitab-e-gul magar juz fareb-e-rang-o-bu kuchh un ke daman mein nahin dekh kar wo zakhm-e-dil ki karti kya bakhiya-gari nur ka dora sawad-e-chashm-e-sozan mein nahin is qadar pisa zamane ne mujhe 'shoala' ki ab ek dana bhi meri qismat ka khirman mein nahin