hae is majburi-e-zauq-e-nazar ko kya karun wo mujhe dekhen na dekhen main unhen dekha karun husn ke husn-e-nadamat ka taqaza hai ki aaj sidq-e-dil se phir yaqin-e-wada-e-farda karun main ne mana zamin-e-taskin-e-dil hai tark-e-shauq lekin apne waqiat-e-zindagi ko kya karun zindagi shayad azaem-parwari ka nam hai sochta hun har-nafas ab kya karun ab kya karun