is aatish-e-KHamosh ko shoala bana na de

is aatish-e-khamosh ko shoala bana na de
chingariyon ke dher ko koi hawa na de

mushkil se kuchh hua hai mayassar mujhe sukun
mazi ka koi dard mujhe phir jaga na de

ghar phunkne se pahle mera tu ye soch le
shoala kahin ye tere bhi ghar ko jala na de

tufan nafas nafas hai qayamat qadam qadam
jab zindagi yahi hai to is ki dua na de

ek sham-e-arzu hai hamari anis-e-gham
hai khauf tund jhonka ise bhi bujha na de

kuchh bhi kashish na baqi rahegi hayat mein
dil mein khayal-e-tark-e-mohabbat khuda na de

hum jis ke raste mein bichhate hain aaj phul
wo kal hamari rah mein kante bichha na de

'masum' nafraton ka ye phaila hua ghubar
dar hai ki mera naqsh-e-mohabbat mita na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close