is ada se koi aaya baam par ho gaya dhoka sahar ka sham par hum se kya dekha jo parda kar liya harf aaya aashiqon ke nam par ahd kar ke aap hi jab phir gae zor kya hai gardish-e-ayyam par shadi-e-be-mani be-illat nahin mar-mita hun phir kisi gulfam par kis ko samjha hun teri pahli nazar mit raha hun lazzat-e-alam par mar gaya sun kar nawed-e-wasl-e-yar rahmat-e-haq 'maikash'-e-nakaam par