ghurur-e-husn ko aks-e-niyaz-e-ashiqi samjhe

ghurur-e-husn ko aks-e-niyaz-e-ashiqi samjhe
zahe ghaflat ki hum ghaflat ko teri aagahi samjhe

hamari baat ko jo aap samjhe hum wahi samjhe
magar is aashiqana maslahat ko aap bhi samjhe

taraqqi-yafta surat jahaalat ki hai ilm apna
jo kuchh samjhe wahi dekha jo kuchh dekha wahi samjhe

kuchh is andaz se paida hua ulfat ka gham dil mein
ki gham hi is ko kah sakte the lekin hum khushi samjhe

unhen jab rahm aata hai to mujh par zulm karte hain
na samjha koi fitrat aashiqi ki ek wahi samjhe

haya-agin sukut-e-naz tha izhaar-e-ulfat par
magar majbur thi ulfat ki us ko na-khushi samjhe

qadam ek aur aage rakh maqam-e-hosh sajde se
khudai ki wo khwahish hai jise sab bandagi samjhe

na samjha hai na samjhega zamana mujh ko ai 'maikash'
kiya hai jis ne diwana jo samjhe to wahi samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close