is andhe qaid-khane mein kahin rauzan nahin hota bikhar jate tabiat mein agar bachpan nahin hota tujhe kya ilm ke har chot pe tare nikalte hain wo aadam hi nahin jis ka koi dushman nahin hota unhen bhi hum ne sayyaron se wapas aate dekha hai jahan bas ishq hota hai koi indhan nahin hota hamari na-muradi mein wafadari bhi shamil hai agar kuchh aur hote to ye pairahan nahin hota bahut mamnun hun phir bhi andhere kam nahin hote agar tum mere ghar hote to wo raushan nahin hota