bijli si ek aur gira di zalim ne zabt ki sari khep jala di zalim ne pahli se main jaan chhudata phirta tha aaj nai taswir laga di zalim ne dil aankhon ke sath hi bahar aaya hai itni is ki pyas badha di zalim ne dupatte ka parda bhi nahin rakkha aaj pabandi ek aur utha di zalim ne us ke aage baat bhi karna mushkil hai honton par bhi mohr laga di zalim ne ishq mein aisi chot lagai sine par ghazlon ki takmil kara di zalim ne