is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai kanton se ulajh kar jina hai phulon se lipat kar marna hai shayad wo zamana laut aae shayad wo palat kar dekh bhi len in ujdi ujdi nazron mein phir koi fasana bharna hai ye soz-e-darun ye ashk-e-rawan ye kawish-e-hasti kya kahiye marte hain ki kuchh din ji len hum jite hain ki aakhir marna hai ek shahr-e-wafa ke band dariche aankhen miche sochte hain kab qafila-ha-e-khanda-e-gul ko in rahon se guzarna hai is nili dhund mein kitne bujhte zamane rakh bikher gae ek pal ki palak par duniya hai kya jina hai kya marna hai raston pe andhere phail gae ek manzil-e-gham tak sham hui ai ham-safaro kya faisla hai ab chalna hai ki thaharna hai har haal mein ek shoridgi-e-afsun-e-tamanna baqi hai khwabon ke bhanwar mein bah kar bhi khwabon ke ghat utarna hai