moajaza koi dikhaun bhi to kya chand mein shahar basaun bhi to kya yaad aata hai barabar koi main use yaad na aaun bhi to kya rabt pahle hi nahin kam us se rabta aur badhaun bhi to kya wo na badlega rawayya apna main agar baat nibhaun bhi to kya jaane majbur hai kitna wo bhi kuchh use yaad dilaun bhi to kya mere aangan mein na utrega wo chand lau sitaron se lagaun bhi to kya log viranon pe jaan dete hain ek nagar dil mein basaun bhi to kya kaun khatre ko karega mahsus main agar shor machaun bhi to kya kaun sochega ki rona kya hai main agar roun rulaun bhi to kya pahli bar aaj luta hun koi be-sada hashr uthaun bhi to kya main ne jo dekha hai jo socha hai hu-ba-hu samne laun bhi to kya log baune hain yahan pahle bhi aur qad apna badhaun bhi to kya ek shaer hi rahunga 'ruhi' bahr qatre mein dikhaun bhi to kya