is baat ki nahin hai koi intiha na puchh ai muddaa-e-khalq mera muddaa na puchh kya kah ke phul banti hain kaliyan gulab ki ye raaz mujh se bulbul-e-shirin-nawa na puchh jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke ab kyun bichhae baithe hain hum boriya na puchh pesh-e-nazar hai past-o-buland-e-rah-e-junun hum be-khudon se qissa-e-arz-o-sama na puchh sumbul se wasta na chaman se munasibat is zulf-e-mushk-bar ka haal ai saba na puchh sad mahfil-e-nashat hai ek sher-e-dil-nashin is barbat-e-sukhan mein hai kis ki sada na puchh kar rahm mere jeb o gareban pe ham-nafas chalti hai ku-e-yar mein kyunkar hawa na puchh rahta nahin hai dahr mein jab koi aasra us waqt aadmi pe guzarti hai kya na puchh har sans mein hai chashma-e-haiwan-o-salsabil phir bhi main tishna-kaam hun ye majra na puchh banda tere wajud ka munkir nahin magar duniya ne kya diye hain sabaq ai khuda na puchh kyun 'josh' raaz-e-dost ki karta hai justuju kah do koi ki shah ka haal ai gada na puchh