hairat hai aah-e-subh ko sari faza sune lekin zamin pe but na falak par khuda sune fariyaad-e-andalib se kanpe tamam bagh lekin na gul na ghuncha na baad-e-saba sune khud apni hi sadaon se gunje hue hain kan koi kisi ki baat sune bhi to kya sune ye bhi ajab tilism hai ai shorish-e-hayat dard-ashna ki baat na dard-ashna sune shahon ke dil to sang hain shahon ka zikr kya ye bhi nahin ki haal gada ka gada sune aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyaz hona tha ye ki banda kahe aur khuda sune sunte bhi hain jo log to yun dastan-e-gham jaise yazid saneha-e-karbala sune han ai khuda-e-arsh-e-barin o butan-e-farsh tum mein se ho koi to mera majra sune pashmina-posh rah-nashinon ki iltija shayad kabhi wo shahid-e-atlash-qaba sune hum nadir o yazid na hajjaj hain na shimr allah aur 'josh' hamari dua sune