is bade shahr mein benam-o-nishan main hi hun dar se is shahr ke khadshon ki zaban main hi hun main hun us ujde hue bagh mein be-rut ki kali jis ki har sans hai tauhin-e-khizan main hi hun lafz chalte hain mere nutq se tiron ki tarah dast-e-haq mein jo kadakti hai kaman main hi hun kya ajab mujh se jo parkhash hai shab-zadon ko jis se larzan hai dil-e-shab wo azan main hi hun tab-kari mere jauhar ki hai khurshed-e-wafa bais-e-tab-o-tawan mah-wishan main hi hun