waqt ke intizar mein wo hai justuju-e-shikar mein wo hai sina-e-raazdar hi mein nahin dida-e-ashkar mein wo hai aaina saf ho to dekh use naqsha-e-dil-figar mein wo hai us ke qabze mein kaenat sahi fuqara ki qatar mein wo hai sar pe dastar-e-fazl hai lekin jubba-e-tar-tar mein wo hai be-karan zehn o dil ki hai wusat jism-o-jaan ke hisar mein wo hai us ki chaaron taraf kitaben hain halqa-e-gham-gusar mein wo hai pesh-e-zalim sada-e-haq yani nargha-e-sad-hazar mein wo hai qila-e-be-basar mein tum mahfuz khud-kalami ke ghaar mein wo hai khak tum pa sakoge khak use aab o baad o sharar mein wo hai lamha-ha-e-sukun mein us ki talash saat-e-iztirar mein wo hai pairwi us ki hai abas 'rahi' khud hi rah-e-farar mein wo hai