is bahs mein kya paDna kise bhul gae hain

is bahs mein kya padna kise bhul gae hain
hum dasht mein kab ped hue bhul gae hain

kuchh qabil-e-rashk apni mohabbat bhi nahin thi
kuchh shohrat-e-dauran se dare bhul gae hain

main gard ko odhe hue muddat se pada hun
wo hath kahin rakh ke mujhe bhul gae hain

asbaq tere yaad hain ehsan bhi sare
ja gardish-e-ayyam tujhe bhul gae hain

ab zakhm ko taza koi rakkhe bhi to kyunkar
ab yaad bhi kya karna jise bhul gae hain

hum lambi masafat mein kisi hath se chhute
hum log kahan kis ko mile bhul gae hain

hum zang-zada qufl ki tamsil the 'sabir'
kab kaise kisi dil mein pade bhul gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close