dua to rahti hai dast-e-dua nahin rahta

dua to rahti hai dast-e-dua nahin rahta
so tai hua mere ghar mein khuda nahin rahta

main aise dasht ko aabaad karne wala hun
jahan pe koi bhi jugnu diya nahin rahta

tu aise dar pe khada hai qasam isi dar ki
koi bhi shakhs yahan par khada nahin rahta

bichhadne wala mera hath tham kar bola
koi makin kisi ghar mein sada nahin rahta

ajib khauf hai jis ka wajud hai hi nahin
kisi bhi ghar ka daricha khula nahin rahta

hazar dil ko lubhate hasin manzar hain
koi bhi zakhm yahan par hara nahin rahta

sara-e-dil ka hai dastur is jagah 'sabir'
kisi ke hote hue dusra nahin rahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close